Hello friends, aaj ke iss post me hum yeh sikhenge ki kis tarah se apne pasand ke youtube videos ko download kar gallary me save kar sakte hai.
youtube video ko gallary me save kaise kare

Dosto hota kya hai aap jab bhi youtube me kisi bhi video ko download karte ho to toh woh video kuch din ke liye rehte hain fir apne aap delete go jata hain.Toh abhi aapko chinta karne ki koi jarurat nahi hain, me aapko kuch assan sa steps batane wala hoon jiske madad se aap 1 minute me videos ko download kar gallary me save kar sakte ho.




STEP 1: Sabse pehle aapko jis bhi youtube video ko download karna chahte hain uss video ka link copy karna hoga.Iske liye aapko video ke share option par click karna hoga

image shows icons below youtube video

iske baad aapko copy link karke ek option milega us par click karke video ka link copy karna hoga.

image shows youtube video link sharing options

STEP 2: Link copy karne ke baad aapko apni browser me  "Youtube video converter " likh kar search karna hoga.

image shows google search ' youtube video converter'


Search karne ke baad onlinevideoconverter.com site par click kijiye.



STEP 3: Click karne ke baad aapko paste link here jagah par aapne jo video ka link copy kiya tha usko paste kar dijiye aur aapko jis bhi format par video download karna hain use
select karke start button par click kar dijiye.


image shows online video converter site home page

ab video possessing ke baad download ka option ayega uspar click kar video download kar lijiye.


online video coverter site image




Bas thodi hi der me aapka video gallary me save ho jayega. Agar video download karne me kuch dikkat ho raha hain toh mujhe post ke niche comment kare. Dhanyabad.